Sunday, July 14, 2013

khubsoorat ghazal of Jigar Muradabi


Dil tham k reh jayan aap










Sabr k sath mera dil bhi lay jayae aap
iss qadar rahm meray hal pe farmayian aap

Dekhiya meri tamannaon ka ihsas rehey
Bagh-e-Firdus main tanha na chalay jayen aap

meri rag rag main seama kar bhi ye parda mujh se
zulam hai zulam hai ainahe se sharmayian aap

kar diya dard-e-mohabat ne mira kam tamam
ab kise terah ki taklif na farmayian aap

nalay kartey howe reh reh k ye ata hai khyal
k mere terah na dil tham k rah jayan aap